Kucch Kar !!


Kaafi waqt hua aur Piyush raj tumne koi baat nahi kii hai apne sunne waalon se...kamaal hai bhai...kamzakam apne logon se to mukhaatib ho liya karo....

Well, friends, i think piyush raj is in between too busy to respond to main uska aks Sakht Jaani aaj se ye blog sambhaalunga...officially koi antar nahi padega profile par, but haan, perception badal jaaegi....dekhte jaaen kaise....

bade din hue, meri ki ek likhi hui poetry aapko pesh kar raha hoon....zara padh ke bataaen kaisi lagi....

Bahut jee chuka andhiyaaron mein,
bahut ruk chuka raftaaron mein,

laakh bah chuka majhdhaaron mein,
yoon til til mat mar,

Kucch kar!!


Ye Dar kaisi beemari hai,

kyoon himmat toone haari hai?

maana ki ab to jo kheli,

har baazi tune haari hai...


chal ek baar fir jaan laga,
zinda rahna aasaan banaa,
man ke andar vishwaas parakh,

yoon mushkil se mat dar... Kucch kar!!

hain jeevan mein sangraam bade,
maana kaante raahon mein pade,

abhi rasta lamba chalnaa hai,

kya soche yoon tu pade pade??

jeevan ke is sangharsh mein to,

hai veer wahi jo yuddh laDe,
Hai
daldal mein jo fansaa hua,

Baahar nikle ya gale-sade....
Tu maanav hai,ummed jagaa,
mat daldal mein yoon saD...
kucch kar!!


Ho raat andheri deewaane,

ho raah akeli anjaane,

par subah kabhi to aani hai,

ye satya na tu kyoon fir maane,


man ke andar vishwaas parakh,

bas chalta jaa seena taane,

gar raah sahi hogi teri,

manzil paaega mastaane...

kyoon andhakaar ki chinta ho,

gar ho prakaash andar!!

kucch kar....

Tu gyaani hai, abhimaani hai,
sarwasva vijay ki Thaani hai,
kyoon vyartha dhyaan mein laga hua,
chinta karna bemaani hai,

hoti mushkil ki umar nahin,
use maut kabhi to aani hai,
hai sakht-jaani to wahi purush,
kabhi haar na jisne maani hai,

hai raah bhale aasan nahi,
tu pathreela path chadh!!

kucch kar....


-Sukhanwar Sakht Jaani

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

i miss you...

Love, life and Bullshit...Confession Sunday...an abstract!!