मद्रासी की विनती- महाकाव्य!!!! (Madraasi ki Vinati-Mahaakaavya!!



जब चेन्नई की गर्मी ने सबको सुखा-सुखा के  मार दिया.....
और इंद्रदेव की संसद ने, “पानी  पर भ्रस्टाचार किया.....
Jab  Chennai ki garmi ne sabko sukha sukha ke maar diya.....
Aur Indradev ki sansad ne, “Paani” par bhrastachar kiya.....

जब बंगलुरु भीगा रिमझिम, और चेन्नई सूख के काँप उठी,
तब चेन्नई के एक दुखी पुरुष ने, तीखा व्यंग प्रहार किया....
Jab Bangalore bheega rimjhim, aur Chennai sookh ke kaanp utthi,
Tab Chennai k ek dukhi purush ne, teekha vyang prahaar kiya....

लिख डाला उसने कटु व्यंग, प्रभु की इज़्ज़त पर बन आई,
लिख दिया था उसने फेसबुक पे, “बड़ी देखी तेरी रुसवाई!!
Likh daala usne katu vyang, prabhu ki izzat par ban aai,
Likh diya tha usne facebook pe, “badi dekhi teri ruswaai!!

पानी दो, हम भी इनसां हैं, हम लगते भले अलग से हों,
हम होते भले अलग से हों, हम दिखते भले अलग से हों?
Paani do, hum bhi insaan hain, hum lagte bhale alag se hoN,
Hum hote bhale alag se hoN, hum Dikhte bhale alag se hoN?


(Hum kaale hain to kya hua, dil waale hain!! :D)
(हम काले हैं तो क्या हुआ, दिल वाले हैं!!)

हम दारू भी कम पीते हैं, हम डिस्को भी कम जाते हैं,
हम बाहर खाने जाकरके, भीइडली सांभरखाते हैं!!
Hum daaru bhi kam peete hain, hum disco bhi kam jaate hain,
Hum baahar khaane jaakar ke, bhi “Idli saambhar” khaate hain!!

ये बैंगलोर वाले, तेरी कम, माल्लया की ज़्यादा गाते हैं,
हर "वीकेंड" पर उसकी बोतल पाकर के बकर मचाते हैं.
Ye Bangalore waale, teri kam, Mallya ki zyaada gaate hain,
Har weekend par uski botal paakar ke bakar machaate hain.

है रखा कृष्ण को चेन्नई में, मक्खन के नाम पर बटर मिल्क?!!
गोपियाँ ब्रिगेड पे छोड़ गये, और हमको दियाकुमारन सिल्क?
Hai rakha Krishna ko Chennnai mein, makkhan ke naam par butter milk?!!
Gopiyaan Brigade pe chhod gaye, aur humko diya “Kumaran Silk”?

हमने फिर भी कुछ कहा नहीं, बस तेरी शरण में पड़े रहे...
कभी तिलक पे चंदन लगवाकर, कभीमाउंट रोडमें खड़े रहे....
Humne phir bhi kucch kaha nahiin, bas teri sharan mein pade rahe...
Kabhi tilak pe chandan lagwaakar, kabhi “Mount Road” mein khade rahe....

कभी ऑटो वाले से झगड़े, कभी  ट्रॅफिक पुलिस से लगवाई,
कभी DMK और जयललिता के नाम पे जम कर धुल्वाई,
Kabhi auto waale se jhagde, kabhi  traffic police se lagwaai,
Kabhi DMK aur jayalalitha ke naam pe jam kar dhulwaai,

हम मुर्गा पैंसठ (65) खाते हों, यामुरूगन इडलीखाते हों,
कभी हुआ है, तेरी मूरत पर, हम “TOTAL” मौल बनाते हों?
Hum murga painsaTh (65) khaate hoN, ya “Murugan idli” khaate hon,
Kabhi hua hai, teri moorat par, hum “Total” Mall banaate hoN?

(इन रेफरेन्स टू मुरुगेश पाल्लाया लॉर्ड शिवा आइडल )
(In reference to Murugesh pallya Lord Shiva Idol )

फिर भी तू उनको बाँट रहा, चेन्नई वालों की काट रहा,
कन्नड़ है मज़े के मौसम में, मद्रासी आँसू चाट रहा??
Phir bhi tu unko baant raha, Chennai waalon ki kaat raha,
KannaD hai maze ke mousam mein, madraasi aansu chaat raha??

अब दया करो, हमपर वरना, हमरजनीशरण में जाएँगे,
वो बादल नोच के लाएँगे, और गार गार बरसाएँगे!!
Ab dayaa karo, humpar warna, hum “Rajini” sharan mein jaaenge,
Wo baadal noch ke laaenge, aur gaar gaar barsaaenge!!

जग हँसेगा तोहरी महिमा पर, सब कहेंगे भक्ति सही नहीं,
जग में प्रभु की दृष्टि भी अब है सब पर एक-सी रही नहीं!!.....
Jag hansega tohri mahima par, sab kahenge bhakti  sahi nahiin,
Jag mein prabhu ki drishti bhi ab hai sab par ek si rahi nahiin.....

बरसाओ अगर तुम सोए नहीं, चमकाओ बिजलियाँ थोड़ी तो....
गर नहीं जुटे बारिश तुमसे, ज़रा ठंडी हवा भी बहवा दो....
Barsaao agar tum soe nahiin, chamkaao bijliyaan thodi to....
Gar nahiin jute baarish tumse, zara thanDi hawa bhi bahwaa do....

दिखलाओ जगत को, की तुमको जब याद दिलाया जाता है,
भगवान भक्त की सुनता है, चेन्नई में वर्षा लाता है!!
Dikhlao jagat ko, ki tumko jab yaad dilaaya jaata hai,
Bhagwaan bhakt ki sunta hai, Chennai mein varshaa laata hai!!

बंगलौर के लोगों को तुम ये , पैगाम क्लियर कर ही दो आज!!
कभी धोनी जीत के लाता है, कभी ईश्वर बाँट के जाता है!!
Bangalour ke logon ko tum ye , paigaam clear kar hi do aaj!!
Kabhi Dhoni jeet ka laata hai, Kabhi ishwar  baanT ke jaata hai!!

जय हो!! Jai Ho!!
-सप्रेम (With Regards)
पीयूष राज सख़्त-जानी "मद्रासवाले"
-          Sukhanwar Piyush Raj Sakht-jaani “Madraswaale”

Comments

  1. Bhai Maza aa gaya,kya likha hai.
    bahut dino baad itna hasa!!!

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

i miss you...

Love, life and Bullshit...Confession Sunday...an abstract!!