Life ka musical Chair.....

Aaj kucch ajeeb ajeeb baatein likhunga. Man kar raha hai sabse share karne ko aisi baatein jo roz nahiin hotiin. Shaayad kabhi bhi nahiin.

24 saal ka ho gaya hoon. Waisa zindaa picchle kucch saalon se hi hoon. Isse pahle mein bhi bheD Chaal chal raha tha. Apni koi thinking nahiin thi. Na koi raasta dikhaata tha, naa saath chaltaa tha, naa hi mere bataae raste par chalna chaahta tha. Aaj 2-4 sunne waale mere bhi hain, abni baat to likh loon.

Ek race hai, India mein, jise musical chair kahte hain. Sab log music bajne par douDte hain, aur music band hone ka intezaar karte hain. Jaise hi music rukaa, sab log ek ek kursi pakad lete hain. Music economic recession ka hota hai, douDte hain mere jaise laakhon students. Kursi to noukri ki hi hai.

Zyaada khelne waale ho jaaen, to is musical chair ko Economic recession kahte hain.

Magar is race ke kucch niyam badle hue hain. Is race mein jo students kursi nahiin pakad paate, wo kursi ke paae pakad kar bhi agle round tak khel sakte hain. Is race mein laakhon students har saal aa rahe hain, aur khel chalta rehta hai. Kabhi kursiyaan badhti hain, kabhi ghat jaati hain. Students ka aana nahiin rukta. Aaj har kursi ke chaahne waale kam se kam 10 to hain. Elimination round nahiin hai kucch, zindagi sabko purzor khelne ka mouka deti hai.

Phir bhi, inme se bhi kuchh pahle hi haar maanke nikal lete hain, game se. Aur to aur, dheere dheer aap music chair khelte hue andar ke concentric circles mein khelne pahuch jaate hain, jahaan competition aur tough hai. Isme wo log khelte hain jo promote hote hain. Kucch drugs ke nashe mein, kucch pyaar ke nashe mein, kucch dar se, to kucch aise hi apna khel khatam samajh lete hain. Inme se kucch mere jaise bhi hote hain. Ek mukammil kursi ki taak mein jaldi jaldi doudte hain, ki koi bhi ek kursi mil jaae, to jeet apni. Maine bhi apni kursi dark e mare hi pakdi thi. Warna main kabhi khelna nahiin chaahta thaa.

Main bhi, kam-o-besh aisa hi hoon. Germany gaya tha internship karne. Gore logon ki sundar duniyaa dekhne. Seekhne. Aur thodi bahut majoori karne. Sab kiya. Man lagaakar. Masti bhi kii saath saath. Acchha waqt guzaara. Recommendation letters jugaade. Papers likhe. Ek acchi firang university mein to admission bhi mil gaya M.S. Karne ka. Main khush tha.

Magar, 2008 June tak musical chair shuru ho chuka tha. Germany mein Padhaai hoti hai, magar noukri nahiin milti. Paise nahiin milenge to mera education Loan koun bharega? Engineering bhi to Koi IIT-NIT se kii nahiin. Tier 2 college ka student, wo bhi middle income group ka. Videshi M.S. ke baad bhi, agar yahaan nahiin reh paaya to India mein koun se Santre phale hain?? MS karne ki icchha to thi, but musical chair mein hissa nahiin liya, to Zindagi saari khade khade guzar jaaegi. Game jo band nahiin hota!!

Bhaag aayaa wahaan se. Musical Chair shuru hone se pahle,Campus placement mein kucch jobs mili thiin, unmse se best waali pakad lii. Logon se baat karna accha lagta hai, band kamre mein mera dam ghutata hai. So ruled out the option of RnD. Production mein magajmaari bahut thii. Learning curve bhi sapaat hotaa hai. RnD ka raasta chhod diya. Production bhi, aur Marketing le lii. Poori tarah se salesman naa dikhne lagoon, to Engineering ki laaj rakhne ko Service marketing join kar lii.

Aajkal Deputy manager lagaa hua hoon. Product performance reports banaata hoon. Log kucch khaas acchi baatein nahiin karte mere profession mein, to Internet ke zariye aap logon se mukhaatib hota hoon. Isiliye blogging bhi chal paDi.

Musical chair filhaal band chal rahi hai. Paas mein ek acchi kursi bhi pakde hue hoon 2 saalon se.


Marketing mein accha kaam kiya hai. Best trainee thaa picchle saal. Is baar bhi best rating milni chaahiye.Saal bhar mein promotion pakka. Manchaaha transfer dene ko bhi maan gaye hain office waale. Mujhe khush honaa chaahiye. Party karni chaahiye. Magar aisa nahiin hai. Main abhi bhi khush nahiin hoon.

Papa pahle Engineer banana chaahte the. Mujhe Lawyer banne ka man thaa. Yaa fir fine arts seekhne ka. Yaa architecture. Conclusion- Main Engineer ban gaya. Dil se compromise karne ke liye field baDi rahi. Mechanical Engineering kii. Jis field mein dekha, kusriyaan kam thiin. Mechanic relatively safe game tha. Kursiyaan thiin kaafi.

Maa mujhe manager dekhna chaahti hai. Deputy manager to hoon hi. But usko man hai ki main degree waala manager banoon. Certificate ke saath. Main abhi bhi kucch creative banna chaahta hoon. Magar jaanta hoon. Ab mere management karne ke baad hi ghar waale dam lenge.

Papa mummy ko koun samjhaae, ki 99 percent degree wale engineer aur manager farzi hote hain, musical chair khelne waale!!

Main khelna nahiin chaahta, magar phir bhi, ek naya musical chair phir se khlena hoga!! CAT likhna padegaa is saal. Isme kursiyaan badi kam hain.

Phir meri shaadi ho jaaegi. Arranged. Kisi musical chair khelne waali se.

Agle saalon mein mere bacche khelenge Musical Chair. Zindagi bhar.

Hehehe, saala Olympics mein musical chair kyoon nahiin hotaa?? Indians zaroor jeetate.

Musical Chair khelte hue zindagi kat jaaegi lagta hai. Din hue, chess nahiin khelaa. Wo mere mijaaz ka game hai, aaraam se baitho. Dimaag lagaao. Shah aur Maat.

Regards,
Sakht Jaani

Comments

  1. hi sir.... ur way of writting is awesome :) i loved it !!

    ReplyDelete
  2. Dear Abhishek, I am glad you liked it!!

    Visit again if you enjoyed it.....:))

    Found some good text on your blog though...worth a detailed read.....

    What else?? Where are you?

    ReplyDelete
  3. hi sir,
    i truly admire ur work. even at college i had heard a lot about you... potty sir had mentioned several times on how piyush raj , "did this, did that "....
    i have met u personally on some occasions, which u might not remember.

    just be my mentor, sir .. i have not done anything worthwhile, till now. but would definitely like to change this thing abt myself! please do help :)

    ReplyDelete
  4. hehehe....that was slightly over the top....I am no bigshot.....:))

    I remember you very well....with short hair....and ever smiling face....you were there in the IE classes, weren't you??

    Do let me know if I can be of any help. And yes, seniors are elder brothers. Elder brothers are mentors. That explains.

    Keep visiting. Regards,

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

i miss you...