Main Chaand se Baatein karta hoon

A fresh poetry I wrote few nights Back....perhaps vindicates my affections to the moon.....Well, I am crazy, and you all know that!! That's what is romance, Morons!! Enjoy.....

Kabhi yoon bhi sard si raaton mein, main Chaand se Baatein karta hoon......

Jo baat koi samjha naa sake, main usse poochha karta hoon......

Kucch pyaar ki baatein hoti hain, takraar ki baatein hoti hain.....

Kucch teri khabar wo deta hai, Do chaar to baatein hoti hain.......

Teri Khidki mein kabhi kabhi, wo jhaankta hai meri khaatir,

Aur fir shaayad madhoshi mein, wo agli raat nahiin aata....

Wo bhi aashiq tera shaayad, saari baatein batlaata nahiin,

Jab teri baat chhupaata hai, bas Ghatta Badhta rehta hai.....

Ek roz mahine mein aakar, wo sab baatein batlaata hai....

Us roz chaandni hoti hai, Har taraf ujaala hota hai........

Main khaamoshi se suntaa hoon, wo chamak chamak ke kehta hai....

Aur jab Main in kisson mein khokar neend ki god mein so jaaun,

Tum sapne mein mere aati ho, Aur bilkul chaand si Dikhti ho.......

Aur phir hum dono paDe PaDe phir GhantoN baatein karte hain.....

Phir Subah ki dhoop yahaan aakar, tumhe door kahiin le jaati hai.....

Main Chaand ki khwaahish mein din bhar fir waqt guzaara karta hoon....

Shaayad tumko batlaa na sakoon, Jazbaaton ko samjhaa na sakoon,

Par chaand to meri suntaa hai!!

Gar kisi roz tum khidki se, use taank jhaank karti paao,

Use apne paas bulaa lena, dhamkaana mat, Dar jaaega,

Gar poochhogi usse, to mera haal bayaan kar paaega........

Batlaaega tumko, main Kaise waqt guzaara kartaa hoon,

Kyoonki tum baat nahiin karti, Main chaand se baatein karta hoon......!!


Kabhi isi bahaane tum bhi to mujhe kisi bahaane yaad karo??



Comments are are always heartily welcome......

Aapka,

Sakht Jaani

Comments

  1. bhaiya g .. abb toh main bhi chaand se baatein karunga.

    yaar so romantic gud 1 ...!!
    thnku. abb main b ye poem kissi ko sunaunga.!!

    ReplyDelete
  2. arrre wah...this is so beautiful...you are a total shayar :)

    Really beautiful poem.

    ReplyDelete
  3. Thank You so much Ma'm......

    I am flattered....After a really bad day at Office.....your comment was soothing.....

    Gave me a reason to smile!!Keep visiting,

    Regards,
    Piyush

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

i miss you...