nazariya(perception)....ya bhram(illusion)?

Saturday ko ek durghatnaa ho gayi mere saath….’chota sa’ accident ho gaya mera…..5 stitches aaye……kaafi khoon wagairah bhi bahaa….aur ye zakhm apne saath ek sabak bhi de gaya…..

Mujhe kaafi arse par ye aabhaas hua ki Haan, auron ki tarah mera bhi wajood ye shareer hi hai…..chaahe khud ko kitna bhi khuda baraabar maan lein hum….maan lein ki hum aatma hain jo is shareer ko chalaa rahe hain …all bullshit for a while…..the hard facts remain the same….the basic principle still intact…..We are nothing more than a mere thought in this real world without a defined body….we can’t even think about someone if we wouldn’t have existed for real….. hum kisi ka agar khayaal bhi karte hain to zehen mein ek tasweer hi to numaayaan hoti hai naa…..

Here I sit…..with a mutilated, disfigured face…..5 stitches 15 mm from right eye…..sooje hue honth…..fati hui naak…..chehre pe kharonchein hi kharonchein…..aaine ko nihaar raha hoon to khayaal aa raha hai….how was I a day back?.....sab kucch jagah pe hi hai…..naak, aankh,honth…..bas haan thode se disfigured dikh rahe hain…..aur mujhe dukkh ho raha hai ki is chehre ko dekhke….kyoonki kahin na kahin mere zehen mein bhi to wahi chehra hai…..ek saaf, mere man mutaabiq khoobsurat shaksiyat jisse main khud ko define karta hoon….abhi wo nahiin hai ,to aaina dekhke main aur dukhi ho raha hoon…..apni shaksiyat ko aaj apni tasweer ki maanind dekhne ki galti kar raha hai shaayad sakht Jaani…..ye to sahi nahiin hai….

Farz karo ki meri aadam ki aankhen na hokar kisi gaai(cow) ki aankhen hotiin….to kya hota?...mujhe duniya rangon ke bina dikhai deti….sab kucch waisa hi rahta….bas nazariya badal jaata…..hari ghaas aur sookhi ghaas ka farq mit gaya hota….aur ye socho ki agar meri makkhi(fly) ki aankhen hotiin to?....ek second mein 200 tasweerein dekh raha hota main….sab kucch dheema dheema sa….bandook se nikli goli ko bhi apni taraf kisi badminton ke shuttle ki tarah dekh raha hota….cheezein fir bhi wahi rahtiin….bas nazariye mein ek tafarka aa gaya hota…..5 indriyon ke is khel ko samajhne ke liye lagta hai itna hi ishaara samajhna kaafi hoga…..

Aankh sense karti hai….dimaag process karta hai….fir puraane memories aur logic ke base pe preprocess kar ke kucch alag hi interpret aur forecast karta hai…aur hum samajhte hain ki jo hum dekh rahe hain wahi sacch hai….agar yahi sacch hona tha to iska matlab hai ki gaai ki aankh use dhokha de rahi hai…aur makkhi ki aankh uski zaroorat ke hisaab se to fir kucch zyaada hi fast ho gayi fir to….aisa hai kya?......jitna zyaada sochta hoon…..mera vishwaas apni indriyon par se kam hota jaata hai…..shaayad kucch to alag hai hummein jo hamein cheezon ko asli dikhaae…..ya asli feel hi karwaae?....why can’t 6th sense be real and the things sensed by our 5 sensor systems be fake?... kya ye mumkin nahiin hai ki ek poori ki poori duniyaa ek bhram se zyaada kuch na ho….ek sapne mein jee rahe hon hum?...remember the concept behing movie Matrix Sakht….kucch kucch waisa hi? shaayad kucch isi tarah ki cheez ko ek simple statement mein samet saktaa hoon main….here I go…THERE IS NO TRUTH,NO FALLACY,NO RIGHTS AND NO WRONGS IN THIS ‘FACTUALLY LOADED’ VIRTUAL WORLD OF OURS…..ALL THAT EXISTS IS PERCEPTION….AND THAT ALSO KEEPS CHANGING…..:))

Painkillers pe hoon….chehre ke daag 15-2 dino ke mehmaan hain…..stitches 7 din mein alwidaa keh dengiin…reh jaana chaahiye….to ek chhota sa nishaan…..jo jab bhi dikhe, to mujhe ye yaad dilaae ki ek alag PERCEPTION meri bhi hai…..kamzakam main ye jaanta to hoon kahiin andar hi andar?

Maybe who is typing is not really me…..or may be real me….thoda wait kar ke dekhenge….agar 1 mahine baad bhi main yahii soch raha hounga to ye ek STRONG PERCEPTION hui fir to….nahiin to wahi 5 indriyaan hain hi har samay ke liye…..

Friends, Mind has an Eye….trust me…and sometimes it defies even what you see….sometimes it defends and sometimes it negates….because unprocessed and misinterpretation of a data; both lead to the same fate….i.e. a Perception…..which is both prone and unaffected to this data ,at the same time….uff!! I get more confused….better chuck it for now……

I anyways feel better after penning down my thoughts after a long time….stay tuned to the Blog…..

Wih best wishes,

Aapka,

Sukhanwar Sakht Jaani ……my mind’s eye…..:))

PS: for interested readers, a view of my present looks has been attached…..stare only if too keen to see…..links will follow….

Comments

Popular posts from this blog

i miss you...

Love, life and Bullshit...Confession Sunday...an abstract!!