Maa, Sapnaa, ek sundar sapnaa, ...
Kal mousam baDaa suhaana thaa, Thii chaand se roushan sab dharti!! Thandi purwaa, ghar ka aangan, Kucch pakne ki meethi khushboo, Main aangan mein yoonhi jaise, Kucch waqt bitaane ki khaatir, Jhoole par jaake let gaya, Aur chaand ko dekh raha thaa ki..... Maloom nahiin, kab aankh lagii, Aur jhoole ke hinDolon mein, Palne waala aabhaas milaa, Nav-shishu mera man vashibhoot, Nidraa ke uDan khatole mein, Natkhat, kilkaari bhartaa thaa..... Sahsaa, maine aawaaz suni, Shaayad chooDi takraane kii, Ya daal mein ChhounK lagaane ki, Shaayad meraa dhokha tha par, Aahat thi Maa ke aane kii.... Wo aai, bagal mein baiTh gayii, Takiyaa saadha, Mujhko dekha, Phir dheere se boli mujhse, “Mera shonu beTaa jaag gayaa” Main vismit thaa, kucch kahaa nahiin, Bas kilkaari bhar letaa thaa, Kabhi haath paaoN chhitraata thaa, Kabhi mooh se Laar bahaata thaa, Ek umr ke baad thaa maine, Maa ka saaf saaf chehra dekha, Maine sapne mein bachpan dekha, Ek sundar saa sapnaa dekha... Tabhi neend khuli, main ja...